2 moharram 61 hijri
KARBALA ME WUROOD :-
2 Moharram al Haram, 61 Hijri yaume Jumerat ko Imam Husain (a.s) warid (enter) e Karbala ho gai. Jaise hi Imam Husain (a.s) ne zameen e Karbala par Qadam rakha Zameen e Karbala zard ho gai aur ek aesa gubar utha jisse apke Chehre Mubarak par Pareshani ke asaar numaya ho gai. Ye dekh kar Ashab dar gai aur Janabe Umme Kulsoom (s.a) rone lagin.karbala pahuchne ke fauran bad Janabe Umme Kulsoom (s.a) ne Imam Husain (a.s) se arz kiya, Bhaijan yah kaisi Zameen hai ki is jagah hamara Dil dahel raha hai, Imam Husain (a.s) ne farmaya bas yah wahi Maqam hai jaha Hamara khoon bahega.
IMAM HUSAI(a.s) KA KHAT AHLE KUFA KE NAM :-
Karbala pahuchne ke bad sabse pehle Etmame Hujjat ke liye Ahle kufa ke nam Qais ibn Mazhar ke zariye se ek khat irsal farmaya. Jisme apne tehreer farmaya tha ki tumhari Dawat par mai Karbala tak aa gaya hu. Qais khat liye ja rahe the ki raste me giraftar kar liye gai aur unhe Ibn Zyad (l.a) ke samne Kufe le jakar pesh kar diya. Ibn e Zyad (l.a) ne khat manga ba Rawayat chak (shatter) kar ke fenk diya aur ba rawayat is khat ko kha liya. Ibn e Zyad (l.a) ne unhe tazyane mar kar Shaheed kar diya.ABEEDULLA IBN ZYAD (L.A) KA KHAT IMAM HUSAIN (a.s) KE NAM :-
Imam Husain (a.s) ke Karbala pahuchne ke bad Hur ne ibn Zyad (l.a) ko apki Karbala pahuchne ki khabar di. Usne Imam Husain (a.s) ko fauran ek khat bheja jisme likha ki mujhe Yazeed (l.a) ne hukm diya hai ki mai apse Uske liye Bayyat le lu, ya Qatl kar du. Imam Husain (a.s) ne is khat ka jawab na diya. "Al Qayman Yadah" aur zameen par phek diya.DUSRI MOHARAMM, 61 Hijri ko aap Karbala me dakhil hue. Apne ahle kufa ke nam khat likha. Apke nam Ibn Zyad (l.a) ka khat aya, isi Tareekh ko apne Nehre Furat ke kinare Khaime nasb karne ka hukm diya. Hur ne roka aur kaha ki Furat se dur khaime nasb kijiye, Furat se 3 ya 5 Mile par khaime nasb kiye gai. Nasbe khayam ke bad abhi ap isme dakhil na hue the ki chand Ash'ar apki zaban par jari hue Janabe Zainab (s.a) ne jaise hi Ash'ar suna is darja roin ki behosh ho gain. Imam ne rukhsar par Pani chhidak kar hosh me laai.
Comments
Post a Comment