Name IMAM ALI (a.s)
Father Name JANAB ABU TALIB (a.s)
Mother Name JANABE FATEMA BINTE ASAD (s.a)
D.O.B. 13 RAJAB 30 AMUL FEEL
P.O.B. KHANA E QABA
D.O.M. 21 RAMZAN 40 H.
P.O.B. NAJAF ASHRAF (IRAQ)
HAZRAT IMAM ALI (a.s) :-
Maulood e Qaba Hazrat Ali Hazrat Abu Tablib aur Janab Fatema bint Asad ke bete Paighambar e Islam Hazrat Mohammad ke sahim noor , damad , bhai , janasheen aurv Fatema ke shauhar Hazrat Imam Hasan , Imam Husain , Zainab aur Umme Kulsoom ke walid e buzurgwar the. Aap jis tarah sardar e Kainat ke Noor me shareek the. Isi tarah Kaar e Risalat me bhi shareek the. Yaume wiladat se lekar ba hayat e Paighambar Islam ke madar al meham ki haisiyat se kaar parwaz rahe.
IMAM ALI (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 3rd kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 1st kadi hain. Apke walide majid HAZRAT ABU-TALIB (a.s) aur waleda majeda JANABE FATEMA BINTE ASAD (s.a) thin.
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI WILADAT :-
Aap ki takhleeq Khilqate Sarware kainat s. Ke sath paidaish e Adam wa Aalam se bahot pehle ho chuki thi . Insani Shakl wa surat me aap ka zahoor wa Numood 13 Rajab 30 Amul feel mutabiq 600 E. Yaume juma Ba muqam Khana-e-Qaba hua. Aap ki walida Hazrat Fatema Binte Asad Aur apke walid Hazrat Abutalib hain, aap dono taraf se Hashmi the, Mowarrekheene Aalam ne aap ke Khana-e-Qaba me paida hone ke muta'allik kabhi koi ikhtelaf zahir nahi kiya balki bil ikhtelaf kehte hain ki " Lam yulad Qab-lahu wala Ba-dahu Mauloodun fee Baitil Haram " aap se pehle na koi khana -e-Qaba me paida hua hai na hoga . CONT...CONT...
HAZRAT IMAM ALI (a.s) ki NAME NAMI :-
Movarrekheen ka bayan hai ki aap ka nam Janabe Abu-Talib ne apne Jadde Aala Jama-e-Kabaele Arab ''Kusai '' ke nam par " Zaid '' , aur Maa Hazrat Fatema Binte Asad ne apne Baap ke nam par '' Asad '' rakha aur Sarware kainat s. Khuda le nam par '' Ali '' rakha. Nam rakhne ke bad Hazrat Abu-Talib aur Binte Asad ne kaha - Huzoor hamne Hatife Gaibi se yahi suna tha. ( Rauzatushshohda aur Kafaytut Talib ) apka ek mash'hoor nam Haider bhi hai jo apki maa ka rakha hua hai, jiski tasdeeq us Rajaz se hoti hai jo apne Marhab (l.a) ke muqable me padha tha jiska pehla misra yah hai '' Anal Lazi Sammtani Ummi Haidara '' is nam ke mutalliq rawaeto me yah hai ki jab aap jhule me the ek din Maa Binte Asad kahi gai hui thin jhule par saanp ja chadha aapne hath badha kar uske munh ko pakad liya aur Kalle ko fad fheka. Maa ne wapas akar yah majra dekha to beskhta keh uthin - yah mera bachcha '' Haider '' hai.
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI QUNIYAT WA ALQAB :-
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI QUNIYAT WA ALQAB :-
Apki Quniyat beshumar hain, Quniyat me Abul Hasan aur Abu Turab aur Alqab me Ameer ul Momineen , Al Murtaza , Asad Ullah , Yad Ullah , Nafs Ullah , Haidere Karrar , Nafse Rasool aur Saqi-e-Qauser zyada mash'hoor hain.
HAZRAT IMAM (a.s) KI PARWARISH WA PARDAKHT :-
HAZRAT IMAM (a.s) KI PARWARISH WA PARDAKHT :-
Aapki parwarish Rasoole Akram ne ki , paida hote hi God me liya , Munh me zaban di aur doodh ke bajai Luabe dahne Rasool se sairab hokar '' Lahmoka Lahmi '' ke haqdar bane isi dauran me jab ke aap Sarware Kainat ke Zere saya Aarzi taur par parwarish pa rahe the , Makke me shadeed Kahet pada , Abu-Talib ke yaha chuki aulad zyada thi, is liye Hazrat Abbas aur Sarware Kainat ( S. ) Unke pas tashreef le gai aur unko Raazi karke Hazrat Ali (a.s) ko apne pas Mustaqil taur par le aai aur Hazrat Abbas ne bhi Jafare Tayyar ko le liya. Hazrat Ali (a.s) Sarware Kainat (s.) ke pas raat din rehne lage. Huzoor e Akram (s.) ne Jumla Nemate Ilaahi se Behrawar kar liya. Aur har Qism ki Talimaat se bharpur bana diya yahan tak Ali (a.s) Naame Khuda Quwwate Bajoo ban kar Yaume Besat 27 Rajab Ko Kulle Imaan ki surat me ubhre aur Huzoor ki taeed karke Islam ka sikka bitha diya.
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KA IZHAR-E-IMAN :-
Musalmano ka aksar yah bahes chhid jati hai ki sabse pehle Islam kon laya ? Aur is silsile me Hazrat Ali (a.s) ka nam bhi aa jata hai halanki aap Mauju-e-bahes se kharij hain kyunki zere bahas wah lai ja sakte hain jo ya to Musalman hi na ho aur tamam umr shirk aur but parasti me guzari ho jaise Abu Bakar , Umar , Usman wagaira. Musalman to rahe ho aur Deen e Ibrahim par chalte bhi rahe ho. Lekin Islam Zahir na kar sake ho jaise Hazrat Hamza Hazrat Jafare Tayyar aur Hazrat Abu-Talib wagaira. Ab bache Hazrat Ali (a.s) yah Qabe me fitrate Islam Par paida hue. " kullo Mauloodin Yoolado Alaa Fitratil Islam " Rasool e Islam ki god me ankh kholi. Luaabe dahen-e-Rasool se parwarish pai. Aagoshe Risalat me pale badhe. 10 saal ki umr me wajhe zaroorat Elane Iman kiya. Rasool ke damad karar pai. Maidan e jang me kamyabiyan hasil karke '' Kulle Iman '' bane fir '' Ameer-al-Momineen '' ke khitab se sarfaraz hue.
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KA HULIYA MUBARAK :-
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KA HULIYA MUBARAK :-
Aap ka rang Gandumi ( Wheat ) , Ankhe badi , Seene par baal , Qad Miyana , Dadhi badi aur dono shane , Kohniyo aur Pindliyan pur posht thin. Aap ke paon ke patthe zabardast the Sher ke kandho ki manind aap ke kandho par haddiya chaudi thi aap ki gardan Surahi dar aur aap ki shakl Nehayat Pur San'at aur Haseen thi. Aap ke labon par Muskurahat khila karti thi. Aap Khezab nahi lagate the.
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI SHADI WA KHANA ABADI :-
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI SHADI WA KHANA ABADI :-
Aap ki Shadi 1 Zihajj 2 Hijri me Huzoor e Akram ki Dukhtare Nek Akhtar Hazrat Fatematuzzahra (s.a) se hui. Aap ke ghar me Gulam aur Khidmatgar na the. Bahar ka kam aap khud aur Waleda Mohtarma karti thin aur Umoore Khanadari ke faraez Janabe Fatema Zehra (s.a) anjam deti thi. Ho sakta hai ki yah rishta aam rishto ki haisiyat se dekha jai. Lekin dar Haqeeqat isme ek Aham Kudrati Raaz Muzmar hai aur iska inkeshaf is tarah ho sakta hai is par gaur kiya jai, Ki Huzoor e Akram ka Irshad hai '' Ali (a.s) ke alawa Fatema (s.a) ka sari duniya me rahti duniya tak Kofo nahi ho sakta fir farmate hain ki mujhe Khuda ne huqm diya hai ki Fatema (s.a) ka Aqd Ali (a.s) se karo. Aur isi silsile me irshad farmate hai ki '' Har Nabi ki nasl uske se hoti hai lekin meri Nasl Sulbe Ali (a.s) me karar di gai hai.
HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI SHAHADAT :-
Paighambar e Islam ne peshingoi farmai thi Ki 'ALI (a.s) ki dadhi sar ke khoon se rangeen hogi'. Ek martaba Hazrat Ali bimar hue unhe dekhne ke liye gai the Halat e Saqeem dekh kar Paighambar se kehne lage ki shayad Ali na bachenge. Aapne farmaya abhi Ali ko maut nahi aegi Ali duniya ke tamam Ranjo gham uthane ke bad talwar se shaheed honge. CONT...
HAZRAT ALI (a.s) KI WILAYAT KA AILAN :-
NABUWWAT WA IMAMAT :-
Yah ek Musallima Haqiqat hai ki Khallaqe Alam ne intekhab e Khilafat ko apne liye Makhsus rakha tha aur isme logo ki Rai ko dakhil nahi hone diya. Farmaya hai"RABBUKA YAKHLUQO MA'YASHAO WA'YAKHTARO MA'KANA LAHUMUL KHIYARA SUBHANALLAHE TA'ALA AMMA YUSHRIKOON' Tumhara Rab hi .... CONT...
Comments
Post a Comment