SATVI (7th) MOHARRAM :- Umar ibn Hajjaj ko 500 sawaro ke sath Nehre Furat par isliye Muqarrar kar diya gaya ki Imam Husain (a.s) ke Khaime tam pani na pahuch pai. Fir Mazeed Ehtiyat ke liye 4000 ka lashkar Hajar ko 1000 ka lashkar Sheesh ibn Rabi ko dekar rawana kar diya aur Pani ki bandish kar di gai aur pani band hone ke bad Abdulla ibn Haseen ne nihayat Kareeh lafzo me taana zani ki jisse Imam Husain (a.s) ko sakht sadma pahucha. Fir ibn Haobash ne taana zani ki jiska Jawab Hazrat Abbas (a.s) ne diya. Aapne gaaleban taana zani ke jawab me Khaime se 19 qadam ke fasle par Janibe Qibla ek Zarb teesha se chashma zaari kar diya. Aur yeh bata diya ki hamare liye pani ki kami nahi hai lekin ham is muqam par Mojiza dikhane nahi balki Imtehan dene aye hain.
Comments
Post a Comment