HAZRAT MOHAMMAD MUSTUFA (a.s)
Name
MOHAMMAD MUSTUFA (a.s)
Father Name HAZRAT ABDULLA (a.s)
Mother Name JANABE AMENA (s.a)
D.O.B. 17 RABI UL AWWAL 1 AMUL FEEL
P.O.B. MACCA
D.O.M. 28 SAFAR 11 H.
P.O.B. MADEENA
HAZRAT MOHAMMAD MUSTUFA (a.s) :-
Khallake aalam ne apne bando ki rehbari aur rehnumai ke liye 1,24,000 hadi bheje jinme 313 Rasool , baki Nabi the Rasoolo me 5 Ulul Azm the in Ambiya wa Rasool par Imaan zaroori hai. Unhe Masoom Mansoos Aalime Ilme ladunni aur Afzal e Kainat karar diya gaya tha. Yah na sirf batne madar balki badwe fitrat me hi Nabi banai gai the. Jinhe khallake Aalam ne apne Noor e Azmat wa Jalal se paida kiya tha wah Noori the inke jism ka Saya na tha.
Khaliq e Kainat ne inki Naboowat wa Risalat ko dawam dekar is Silsile ko khatm kar diya. Lekin chuki Silsila-e-Takhleeq ka zari rehna musallam tha aur zaroorat e tableeg ki baqa lazmi thi. Lehaza us dana wa beena khuda ne apne azli faisle ke mutabiq Ba'ab Nabuwwat band karke Imamat ka lazmi darwaza khol diya aur 12 imamo ki un asma ki bazbaane Rasool Wazahat kar di jo lauh e mehfooz par likhe hue the.
HAZRAT MOHAMMAD KI WILADAT BA-SA'ADAT :-
Apke noor e wajood ki khilkat ba riwayat Hazrat Adam ki takhleeq se 9,00,000 baras pehle ba riwayat 4-5 lakh saal qabl hui thi. Apka noor e aqdas , aslabe tahera aur arhame mutah'hara me hota hua jab sulbe Janab Abdullah bin Abdul Muttalib tak pahucha to apka Zahooro Shahood ba shakle Insani batne Janabe Amena Binte Wahab se Makka-e-Miazzama me hua.
HAZRAT MOHAMMAD KI WILADAT KE WAQT HAIRAT ANGEZ WAQEYAT KA ZAHOOR :-
Apki wiladat se Mutallik bahot se aese Umoor runuma hue jo hairat anhez hain. Maslan apki waleda majeda ko Bare Hamal mehsoos nahi hua aur wah tauleed ke waqt kasaafaton se Pak thin. Aap Makhtoon aur Naaf Bureeda the. Apke Zahoor farmate hi apke jism se aesa noor saate hua jisse sari duniya raushan ho gai apne paida hote hi dono haton ko zameen par tek kar Sajda e Khaliq ada kiya. Fir asman ki taraf sar karke takbeer kahi aur "LA ILAHA ILLAL'LAHO ANA RASOOL'LALLAHE" zaban par jari kiya ba riwayat ibne wazeh Al Mutwaffi 292 H. Shaitan ko rajam kiya gaya aur uska asman par jana band ho gaya Sitarey Musalsal Tutne lage tamam duniya me aesa zalzala aya ki tamam duniya ki kaleese aur deegar Gairullah ki ibadat karne ke Muqamat Munhadim ho gai jadu aur kahanat ke mahir apni aqle kho baithe aur unke muwaqqil mahboos ho gai aese sitarey asman par nikal aai jinke kabhi kisi ne nahi dekha tha. Saawa ki wah jheel jiski parastis ki jati thi jo kashan me hai wah khushk ho gai. Wadi us Samawa jo sham mue hai aur 1,000 saal se khusk padi thi usme pani jari ho gaya dajla me is qadar tugyani hui ki uska pani tamam ilako me fail gaya kisra ke mahel me pani bhar gaya aur aesa zalzala aya ki aewane kisra ke 14 kangoore zameen par gir pade aur taake kisra Shigaafta ho gaya aur faras ki aag jo 1,000 saal se raushan thi fauran bujh gai.
Comments
Post a Comment