HAZRAT IMAM MOHAMMAD TAQI (a.s)



Name                     IMAM MOHAMMAD TAQI (a.s)
Father Name          IMAM ALI RAZA (a.s)
Mother Name        JANABE KHAIZRAN URF SAKEENA
D.OB.                   10 RAJAB 195 H.
P.O.B.                  MADEENA
D.O.M.                 29 ZILQAD 220 H
P.O.B.                  KAZMAIN

HAZRAT IMAM MOHAMMAD TAQI (a.s) :-

IMAM MOHAMMAD TAQI (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 11th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 9th kadi hain. Apke walide majid Hazrat Imam Ali Raza (a.s) the aur apki waleda majeda Janabe Sakeena (s.a) thin.

HAZRAT IMAM MOHAMMAD TAQI (a.s) KI SHAHADAT :-

Motasim ne Bagdad bulwa kar apko Qaid kar diya. Allama Arbali likhte hai ki 1 Saal tak apne Qaid ki Sakhtiyan sirf is jurm me  bardasht ki ki aap Kamalat e Imamat ke Hamil kyu hain aur apko Khuda ne ye Sharaf apko kyu ata farmaya hai. Behrahal wo waqt aa gaya ki aap sirf 25 Saal ki Umr me 29 Zilqad 220 Hijri me Motasim l.a ke Qaidkhane me Shaheed ho gai. Baaz ulema ka kehna hai ki apko apki Bivi Ummul Fazal ne apne baap Mamoon l.a ke mutabiq Motasim ki Madad se Zaher se Shaheed kiya.

Comments

Popular Posts