Name IMAM HUSAIN (a.s)
Father Name IMAM ALI (a.s)
Mother Name JANABE FATEMA ZEHRA (s.a)
D.O.B. 3rd SHABAN 4 H.
P.O.B. MADINA
D.O.M. 10 MOHARRAM 61 H.
P.O.B. KARBALA IRAQ
HAZRAT IMAM HUSSAIN (a.s) :-
HAZRAT IMAM HUSSAIN (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 5th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 3rd kadi hain. Apke walide majid HAZRAT IMAM ALI (a.s) aur waleda majeda JANABE FATEMATUZ ZEHRA (s.a) thin.HAZRAT IMAM HUSSAIN (a.s) KI WILADAT :-
Hazrat Imam Hasan (a.s ki wiladat ke bad 50 raten guzri thin ki HAZRAT IMAM HUSAIN (a.s) ka nukta e wajood batne madar me mustaqar hua tha. Hazrat Imam Jafar Sadiq (a.s) irshad farmate hain ki wiladate Imam Hasan (a.s) aur isteqarare hamal HUSAIN me tohar ka fasla tha. Abhi apki wiladat na hone pai thi ki ba rawayte Ummul Fazal Binte Haris ne khwab dekha ki Rasool e Kareem (a.s) ke jism ka ek tukda kat kar meri agosh me rakha gaya is khwab se wah bahot ghabrai aur daudi hui Rasool Kareem ki khidmat me hazir hokar arz pardaz hui ki Huzoor aaj ek bahot bura khwab dekha hai. Hazrat ne khwab sunkar muskurate hue farmaya ki yah khwab to nihayat hi umda hai. Aye Ummul Fazal iski tabeer yah hai ki meri Beti Fatema (s.a) ke batn se anqareeb ek bachcha paida hoga jo tumhari agosh me parwarish paiga. Apke irshad farmane ko thoda hi arsa guzra tha ki khususi muddate Hamal sirf 6 maah guzaar kar Noore Nazar Rasool (a.s) IMAM HUSAIN (a.s) batareekh 3, Shaban san 4 Hizri bamuqam Madeena e Munawwara me batne madar se agosh e madar me aa gai. Ummul Fazal ka bayan hai ki mai hasbul hukm inki khidmat karti rahi. Ek din mai bachche ko lekar Rasool e Kareem ki khidmat me hazir hui. Apne agoshe mohabbat me lekar pyar kiya aur aap rone lage maine sabab daryaft kiya to farmaya ki abhi abhi Jibrail mere pas aye the wah batla gai hain ki yah bachcha ummat ke hathon nihayat zulmo sitam ke sath shaheed hoga aur aye Ummul Fazal wah mujhe iski Qatlgah ki surkh mitti bhi de gai hain.
HAZRAT IMAM HUSSAIN (a.s) KI ISME GERAMI :-
Allama Sablenji liklhte hai ki wiladat ke bad Sarware Kianat ne Imam Husain (a.s) ki ankho me loabe dahan lagaya aur apni zaban unke muh me dekar badi der tak chusaya iske bad dahine Kan me Azan aur bain kan me Aqamat kahi. Fir Duae khair farma kar Husain nam rakha. Ulema ka bayan hai ki yah nam Islam se pehle kisi ka bhi nahi tha. Wah yah bhin kehte hain ki yah nam khud Khuda wande Alam ka rakha hua hai.
HAZRAT IMAM HUSSAIN (a.s) KA AQEEQA :-
Imam Husain (a.s) ka nam rakhne ke bad Srware Kainat ne Hazrat Fatema (s.a) se farmaya ki beti jis tarah Hasan (a.s) ka aqeeqa kiya gaya tha usi tarah iske aqeeqe ka intezam karo, aur isi tarah balon ke ham wazan chandi (silver) tasadduq karo jis tarah Hasan ke liye kar chuki ho. Algaraz ek Mendha (sheep) mangwaya gaya aur rasme aqeeqa ada ki gai.
HAZRAT IMAM HUSSAIN (a.s) KI QUNIYAT WA ALQAB :-
Apki Quniyat sirf Abu Abdullah thi albatta Alqab beshumar hain. Jisme Sayyed, Sibte Asgar, Shaheed e Akbar aur Sayyed us Shohda zyada mash'hoor hain. Allama Mohammad bin Talha Shafei ka bayan hai ki Sibte aur Sayyed khud Rasool e Kareem ke ada karda hain.
HAZRAT IMAM HUSSAIN (a.s) KI RAZA'AT :-
Usool e Kafi Bab Mauludul Husain safa 144 me hai ki Imam Husain (a.s) ne paida hone ke bad na Hazrat Fatema Zehra (s.a) ka sheer e mubarak nosh kiya aur na kisi daai ka doodh piya. Hota yah tha ki jab bhokhe hote to Sarwar e Kainat tashreef lakar zabane mubarak dahne aqdas me dete the Imam Husain use chusne lagte the. Yahan tak ki sero serab ho jate the. Malum hona chahiye ki isi se Imam Husain (a.s) ka gosht posht bana aur loabe dahne Risalat se Husain (a.s) parwarish pakar kare Risalat anajam dene ki salahiyat ke malik bane. Yahi wajah hai ki aap Rasool e Kareem ke bahot kareeb the.
KHUDA WANDE ALAM KI TARAF SE WILADATE IMAM HUSAIN (a.s) KI TAHNEEYAT WA TAZEEYAT :-
Allama Husain Wayez Kashefi raqam taraz hai ki Imam Husain (a.s) wiladat ke bad Khallaqe Alam ne Jibrail ko hukm diya ki zameen par ja kar mere Habeeb Mohammad Mustafa (a.s) ko meri taraf se Husain (a.s ki wiladat par mubarkbad dedo aur sath hi sath unki Shahadate Uzma se bhi unhe muttla karke taziyat ada kardo. Janabe Jibrail ba hukme Rabbe Jaleel par warid hue aur unhone Rasool e Kareem ki khidmat me pahoch kar tahneeyat ada kardi.
Iske bad arz pardaez hue ki aye Habeeb e Rabbe Kareem apki khidmat me shahadat e Husaini ki taziyat bhi min janibe Allah ada ki jati hai. Yeh sunkar Sarware Kianat a.(a.s) ne puchha ki Jibrail majera kya hai. Tehniyat ke sath taziyat ki tafseel bayan karo. Jibrail (a.s) ne arz kiya ki ek wo din hoga jis din apke is chahite farzand Husain (a.s) ke gulue mubarak par khanjare aabdar rakha jaiga aur apka ye noor e nazar be yaaro madadgar Maidane Karbala me yakkao tanha 3 din ka bhuka pyasa Shaheed hoga. Yeh sunkar Sarware Kainat (a.s) mehve girya ho gai. Apke rone ki khabar jaise hi Ameer al Momineen (a.s) ko pahuchi woh bhi rone lage alame girya me dakhile khana e Sayyeda (s.a) ho gai. Janabe Sayyeda (s.a) ne jo Hazrat Ali (a.s) ko rota dekha to dil bechain ho gaya. Arz kiya Abul Hasn rone ka sabab kya hai? Farmaya bint e Rasool (s.a) abhi Jibrail aye hain aur wo Husain (a.s) ki tehniyat ke sath sath unki shahadat ki bhi khabar de gai hain. Halat se bakhabar hone ke bad Fatema (s.a) ka girya shuru ho gaya. Apne Huzoor (a.s) ki khidmat me hazir hokar arz kiya baba jaan ye sab kab hoga. farmaya jab Main na hunga tu aap nahi hogi Ali nahi honge Hasan nahi hoga. Fatema (s.a) ne puchha baba mera bachcha kis khata par shaheed hoga. Farmaya bejurm wa bekhata sirf Islam ki himayat me shaheed hoga. Fatema (s.a) ne arz ki baba jaan ham me se koi nahi hoga to is par girya kon karega aur uski Safe Matam kon bichhaiga.
Ravi ka bayan hai ki is sawal ka abhi Rasool e Kareem (a.s) jawab na dene pai the ki haatife ghaibi ki awaz ayi, aye Fatema gham na karo. Tumhare is farzand ka gham Abd ul Aabad tak manaya jaiga aur iska matam Qayamat tak jari rahega.
Ek rawayat me hai ki rasool e Khuda (a.s) ne Fatema (s.a) ke jawab me yah farmaya tha ki Khuda kuch logo ko hamesha paida karta rahega, jiske Budhe, Budho par aur Jawan, Jawano par aur Bachche, Bachcho par aur Aurat, Aurto par girya wa zari karte rahenge.

IMAM HUSAIN (a.s) KI MADINE SE RAWANGI :-
Ulema ka bayan hai ki Imam Husain (a.s) 28, Rajab 60, Hijri Ba Irada e Makka rawana hue. Apke sath tamam mukhd'derate Ismat wa Taharat aur Chhote Chhote bachche the. Albatta Apki ek Sahabzadi Jinka Nam Fatema Sugra (s.a) tha aur jinki umr 7 Saal thi wah Shadeed Bimari ki wajah se na ja sakin. Imam Husain (a.s) ne apki khidmat ke liye Hazrat Abbas (a.s) ki Maa Ummul Baneen (s.a) ko Madeene me hi Chhod diya tha aur kuch faraez khidmat Ummul Momineen Janabe Umme Salma ke Supurd kar diya tha. Aap 3, Shaban 60 Hijri ko Makka e Moazzema pahuch gai.
IMAM HUSAIN (a.s) KI MAKKE SE RAWANGI KI WAJAH :-
Imam Husain (a.s) Madeena e Munawwara se Isliye Azime Makka hue ki Apki yaha Jan bach jaigi lekin apki jan lene par aesa Saffaq Dushman tula hua tha ki Makka e Moazzama aur Qaba e Mohtaram me bhi apko mehfuz na rehne diya aur woh waqt aa gaya ki Imam Husain (a.s) Maqame ko Mehle khauf Samajh kar Makka e Moazzama ko chhodne par majboor ho gai aur Majboori is hadd tak pahoch gai ki aap Hajj tak na kar sake. Yah Masllemat se hai ki....CONT...IMAM HUSAIN (a.s) KI MAKKE SE RAWANGI :-
Al garaz Imam Husain (a.s) apne jumla Aizza aur Aqareba wa Ansare jan'nisar ko hamrah lekar Makke se rawana ho gai. Ap jis waqt Manzile Safa par pahuche to Farazdaq Shayar se Mulaqat hui. Wah Kufe se aa raha tha. Israr par usne bataya ki chahe logo ke dil apki taraf ho lekin unki Talwaren apke Khilaf hain. Apne apni rawangi ki wajah...CONT...
HUR BIN YAZEEDE RIYAHI AUR IMAM HUSAIN (a.s) :-
Subah ka Waqt guzra dopaher ayi, Lashkare Husaini Badya Paimai kar raha tha ki Nagah ek Sahabiye Husain (a.s) ne taqbeer kahi. Logo ne wajah puchi, usne jawab diya ki mujhe Kufe ki taraf Khurme aur kele ke darakht jaise nazar aa rahe hain. Yah sun kar log ye khayal karte hue ki is Jungle me darakht kaha, us taraf gaur se dekhne lage. Thodi der me Ghodo ki kanautiya nazar ayi. Imam ne Farmaya ki dushman aa rahe hain..lehaza Manzile Jukhshab ya Joohsam ki taraf mud chalo. Lashkare Husaini ne...CONT...
Comments
Post a Comment