HAZRAT IMAM ALI RAZA (a.s)



Name                    IMAM ALI RAZA (a.s)
Father Name        IMAM MUSA KAZIM (a.s)
Mother Name       JANABE UMMUL BANEEN URF NAJMA (s.a)
D.O.B.                 11 ZILQAD 153 H.
P.O.B.                  MADEENA
D.O.M.                 23 ZILQAD 203 H.
P.O.B.                 TOOS (Mash'had)

HAZRAT IMAM ALI RAZA (a.s) :-
IMAM ALI RAZA (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 10th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 8th kadi hain. Apke walide majid Hazrat Imam Musa Kazim (a.s)the aur apki waleda majeda Janabe Najma (s.a) thin.


HAZRAT IMAM RAZA (a.s) KI WILADAT BA SA'ADAT: -

Ulema Moharrekhin ka bayan hai ki aap Ba Tareekh 11 Zilqad 153H. Ko Ba Muqam Madeena e Munawwara me paida hue. Jab Imam E Raza paida hue to Apne zameen par tashreef late hi dono hath zameen par tek diye Aur apna Sare Mubarak Asman ki taraf Buland Kar diya. Imam Moosa e Kazim (a.s) tashreef lai aur Janabe Najma (s.a) se Farmaya ki tumhe Khuda wande Alam ki Inayat was Karamat Mubarak ho. Fir Janabe Najma (s.a) ne Maulood e Masood ko Imam Moosa e Kazim (a.s) ki god me De diya. Apne uski Dahine kan me Azan wa Bai Kan Aqamat kahi. Isle bad Apne Farmaya ise le lo yah Zameen par Khuda ki nishani hai Aur Mere bad Hujjat e Khuda ke faraez ka zimmedar hai.


APKA NAM QUNIYAT WA ALQAB: -

Apke Walid e Majid Imam Musa Kazim (a.s) ne lauhe mehfuz ke mutabiq Aur Taiyyune Rasool (a.s) ke muwafiq Apko Isme ALI se Mausoof farmaya. Aap Aal e Mohammad me se Tisre Ali hain. Apki Quniyat Abul Hasan thi. Aur Apke Alqab Sabir, Zaki, Wali, Razi, Wasi the. Aur Mash'hoor laqab Raza hai.


BADSHAHANE WAQT: -

Apne apni zindagi ki pehli manzil se taba Ahde wafat tak bahot se badshaho ke daur dekhe. Aap 153 H. Me Ahde Masoor Dawanaqi me paida hue. 158 H. Me Mehndi Abbasi, 169 H. Me Hadi Abbasi, 170 H. Me Haroon Rasheed Abbasi, 194 H. Me Ameen Abbasi, 198 H. Me Mamoon Rasheed Abbasi Alat tarteeb khaleefa e Waqt hote rahe.
                Apne har ek daur bachashme khud dekha, Aur Aap padre buzurgwar Neez deegar Aulad e Ali wa Fatema ke sath jo kuch hota raha use Mulaheza farmate rahe. Yaha tak ki 203 H. Me Aap duniya se Rukhsat ho gai aap ko Zaher dekar Shaheed Kar Diya gaya.


IMAM MUSA KAZIM (a.s) KI SHAHADAT AUR IMAM RAZA (a.s) KI IMAMAT KA AGAZ : -

183 H. Me Imam Musa Kazim (a.s) ne Qaid khanae Haroon Rasheed me apni umr ka ek bahot bada hissa guzar kar darja e Shahadat Hasil farmaya Apki wafat ke waqt Imam Raza (a.s) ki Umr 30 Saal ki thi. Walid e Buzurgwar ki Shahadat ke bad Imamat ki zimmedaiya apki taraf muntaqil ho gain.

Comments

Popular Posts