Name IMAM ALI NAQI (a.s)
Father Name IMAM MOHAMMAD TAQI (a.s)
Mother Name JANABE SAMAANA KHATOON (s.a)
D.O.B. 5 RAJJUB MURAJJAB 214 H.
P.O.B. MADEENA
D.O.M. 2 RAJAB 254 H.
P.O.B. SAMARRA
HAZRAT IMAM ALI NAQI (a.s) :-
IMAM ALI NAQI (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 12th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 10th kadi hain. Apke walide majid Hazrat Imam Mohammad Taqi (a.s) the aur apki waleda majeda Janabe Samaana Khatoon (s.a) thin.HAZRAT IMAM ALI NAQI (a.s) KI WILADAT :-
Aap batarikh 5 Rajjub Murajjab 214 H. yaume sheh shamba Samaana Khatoon se ba muqam Madeena e Munauwwara me nutawallid hue.IMAM ALI NAQI (a.s) QUNIYAT AUR ALQAB :-
Apki quniyat ABUL HASAN thi , apke alqab bahot kaseer hain jinme NAQI , NASEH , MOTAWAQQIL MURTUZA AUR ASKARI zyada mash'hoor hain.IMAM ALI NAQI (a.s) KI AHDE HAYAT AUR BADSHAHE WAQT :-
Aap jab 216 H. Me paida hue us waqt badshahe waqt mamoon rasheed abbasi tha. 218 H. Me mamoon rasheed ne inteqal kiya aur motasim khaleefa hua. 227 H. Me wasiq ibne motasim khaleefa mukarrar kiya gaya. Fir 247 H. Me mughrasir bin motawaqqil aur 248 H. Me mutaeen aur 252 H. Me jubair ibne motawaqqil almakani wa 'motizabillah' all tarteeb khaleefa banai gai.IMAM ALI NAQI (a.s) KA ILM E LADUNNI :-
BACHPAN KA EK WAQYA : Yah hamare musallemat me se hai ki hamare Aeimma ko Ilm e Ladunni hota hai. Yah Khuda ki bargah se ilm wa hikmat lekar kamil aur mukammil duniya me tashreef late rahe hain. Unhe kisi se ilm hasil karne ki zarorat nahi hoti.Allama Masoodi ka bayan hai ki Hazrat Imam Mohammad Taqi ki wafat ke bad Imam Ali Naqi jinki umr 6-7 sal CONT....
Comments
Post a Comment