6 Moharram 61 Hijri


 CHHATHI (6th) MOHARRAM :- 6 Moharram ko Khuli ibn Yazeed Asbahi ko 10000 Ibnul Hur ko 3000 Hajaj ibn Hur ko 1000 ka lashkar dekar rawana kar diya. Inke alawa aur kai lashkar bhejne ke bad Ibn zyad (l.a) ne Umar ibn Sa'ad (l.a) ko likha ki ab tujhe 80,000 ka kufi lashkar bhej chuka hu, inme Hejazi aur Shami shamil nahi hain. Tu Husain (a.s) ko qatl kar de. Isi tareekh ko khuli ibn yazeed ne ibn zyad (l.a) ke nam ek khat likha jisme Umar e Sa'ad (l.a) ke liye likha ki yah Imam Husain (a.s) se Raat me chhup kar milta hai aur inse Baat kiya karta hai. Ibn zyad (l.a) ne is khat ko pate hi Umar e Sa'ad (l.a) ke nam ek khat likha ki mujhe teri tamam harkato ki khabar hai tu chhup kar Husain (a.s) se baten karta hai. Dekh mera khat pate hi Imam Husain (a.s) ka pani band kar de aur unhe jald az jald Maut ke ghat utarne ki koshish kar.

Comments