3 moharram 61 hijri


TEESRI (3rd) MOHARRAM YAUME JUMA :- 3 Moharram ko Umar ibn Sa'ad 5-6 baqaul Allama Arbali 22;000 sawar lekar Karbala pahucha aur Imam Husain (a.s) ke tabadlay Khayalat ki khwaish ki. Hazrat ne Iradai kufe ka sabab bayan farmaya. Usne ibn Zyad (l.a) ko guftagu ki tafseel likh di aur yah bhi likha ki Imam Husain (a.s) farmate hain ki agar Ahle kufa mujhe nahi chahte to mai wapas jane ko tayyar hu. ibn zyad (l.a) ne umar e Sa'ad ko jawab me likha ki ab jab hamne Imam Husain (a.s) ko qabze me le liya hai to chhutkara (disengagement) chahte hain. Yah hargiz nahi hoga. Inse keh do ki apne tamam Aaizza wa Aqareba samet Bayyat e Yazeed (l.a) kaen ya qatl hone ke liye amada ho jain. Mai bayyat se pehle unki kisi bat par gaur karne ke liye tayyar nahi hu. Isi 3 Moharram ki shab ko Habeeb ibn Mazahir (a.s) qabilai bani Asad me gai aur unme se 90 Jabaz imdade Husaini ke liye tayyar kiye. Wo unhe la rahe the ki kisi ne ibn zyad (l.a) ko khabar kar di. Usne 400 ka lashkar bhej kar unhe rukwa diya. 

Comments