is azadari se paayi raahe haq ki raushni
hai azadarane sarwar qalbe zehra ki dua
hai dua zehra kiya hai ye razaye aezidi
ye azadari e sarwar....
kuch zabano par tha kal labbaik ya maula hussain
ab ye naara banta jaata hai sada e aalami
ye azadari e sarwar....
hum nahi mit payenge karle koi kitna sitam
jabr o istebtaad dunya aazmati hi rahi
ye azadari e sarwar....
faatahe badr o ohad ke chahne walay hai hum
humse larza hai dehr ke marhabi o antari
ye azadari e sarwar....
pehle allah phir mohamed baad may maula ali
hai yehi haq ma siwa iske hai deene aazari
ye azadari e sarwar....
is azadari ke dar pe hai zamana gham nahi
matame sarwar ke zaamin hai jab ibne askari
ye azadari e sarwar....
ambiya matam kuna hai jiske gham may wo hussain
hai hamay bhi faqr ke hum hai hussaini matami
ye azadari e sarwar....
ha yuhin jaari rahega shor o giriya ka abd
majlis o matam ki binte zehra hai baani bani
ye azadari e sarwar....
maa ko tha armaan ali akbar ke sehre ka bahot
baade akbar qalbe maa se phir na veerani gayi
ye azadari e sarwar....
haa hussain ibne ali hai sabr ka parwardigar
thi nikaali kis tarha akbar ke seene se ani
ye azadari e sarwar....
ek naize se kiya abbas ne darya fataah
ashkiyan may khauf o hairat ki farawani hui
ye azadari e sarwar....
kab kahan tehra hai baatil sheh ke gham ke saamne
haq falak baatil zameen ke se ho koi hamsari
ye azadari e sarwar....
hai dua nauhe may aijaz o hassan ke ishtiyaq
ay khuda marham ho qalbe zehra ka ye shayari
ye azadari e sarwar....
|
Comments
Post a Comment