NAUHA ANJ DAR E HUSAIN MAR JAUNGI BABA

 MAR JAUNGI BABA

Download Mp3


 ro ro ke sada deti thi ye shah ki dukhtar
mar jaungi baba, mar jaungi baba
mat jaye khade ran may hai ye sham ke lashkar
mar jaungi baba, mar jaungi baba

kyun apne badan pe hai ye hathyaar sajate
waswaas hai aate, waswaas hai aate
ye dekh ke chalte hai mere qalb pe nashtar
mar jaungi baba, mar jaungi baba

sunti hoo ke haathon may liye shimr hai khanjar
ay saaqiye kausar, ay saaqiye kausar
baad aapke hojayega jeena mera do bar
mar jaungi baba, mar jaungi baba

jaate ho to pehle hamay pahunchado madina
wan roye sakina, wan roye sakina
ya itna batado hai kahan marqade hyder
mar jaungi baba, mar jaungi baba

qasim hai na akbar hai na hai hazrate abbas
jeene ke nahi aas, jeene ke nahi aas
lagta hai phupi amma ki chin jayegi chadar
mar jaungi baba, mar jaungi baba

humko aseer karke ye le jayenge jab shaam
roungi mai har gaam, roungi mai har gaam
mazloom ke sar par wahan barsayenge pathar
mar jaungi baba, mar jaungi baba

jo bhi gaya ran ko nahi aaya wo palat kar
abbas na akbar, abbas na akbar
ab aap ka sadma mai utha paungi kyun kar
mar jaungi baba, mar jaungi baba

zakir banake baksha hai zehra ne ye farhan
tumko bhi ay aijaz, tumko bhi ay aijaz
majlis may bapa hashr hai is soz ko sunkar
mar jaungi baba, mar jaungi baba

Comments