NAUHA ANJ DAR E HUSAIN DAR-E-ZINDAN

 DAR-E-ZINDAN

Download Mp3


 dar e zindan pe sakina yehi karti thi buka
sham hone ko hai ab laut ke aao baba

tang hai sham ka zindan andhera hai bahot
hai nahi aap to ab khaaq bichona hai sada
dar e zindan pe....

takti rehti hoo parindo ko basad hasrat o yas
kya watan jaungi is qaid se chutkar mai bhala
dar e zindan pe....

dekh kar haalate sajjad wo roke kehti
haye bemaar mere bhai pe hai kaisi jafa
dar e zindan pe....

yaad aajate jo asghar kabhi akbar usko
bhai aajao yahan ro ro wo deti thi sada
dar e zindan pe....

maa ki aagosh may kis tarha usay neendh aaye
baap ke seene pe soti rahi bachi jo sada

kis tarha dil ko mai behlaun ghuta jaata hai dam
hai na nanhe mere saathi hai na ammu baba
dar e zindan pe....

iska daman bhi jala kaano se durr cheen liye
pusht par neele thay aur kaano may bhi khoon tha rawan
dar e zindan pe....

rote rote yuhin ek shab jo zara aankh lagi
chaunk kar uthi sakina yehi madar se kaha
dar e zindan pe....

shor ye sunke utha neendh se badaqt yazeed
bola zindan may lejao sare shahe huda

sab ne bad bad ke salami shahe mazloom ko di
godh may leke sare shah sakina ne kaha
dar e zindan pe....

aap ke baad mujhe shimr ne maare durray
baad baba tere kya kya na sitam humne saha
dar e zindan pe....

wo mujhe lene ko aaye hai mai sadqe unke
baba ke saath mai jaaungi hui poori dua
dar e zindan pe....

Comments