JANABE FATEMA ZEHRA (s.a)




Name                    JANABE FATEMA ZEHRA (s.a)
Father Name          MOHAMMAD MUSTUFA (a.s)
Mother Name         JANABE KHADEEJA (s.a)
D.O.B.                  20 JAMADIN US SANI 5 BESAT
P.O.B.                   MACCA          
D.O.M.                 3 JAMADI US SANI 11 H.
P.O.B.                  JANNAT UL BAQI


JANABE FATEMA ZEHRA (s.a) :
HAZRAT FATEMA Paighambaer e Islam Hazrat Mohammad aur Janabe Khadeeja ki eklauti beti aur Hazrat Ali ki Rafeeqa Hayat aur Imam Hasan wa Imam Husain , Janab Zainab , Umme Kulsoom. ki madare girami aur 9 imamo ki jadd e majeda thin.
       Aap silsila e Asmate Mohammadiya ki 2nd kadi hain.

JANABE FATEMA ZEHRA (s.a) KI WILADAT :-

Apka noor e wajood noor e Risalat ke sath khilqate kainat se bahot pehle paida ho chuka tha. Albatta apke Zahiri Numood ke liye Ulema ne likha hai ki Aap Miraj e Risalat Ma'ab (a.s) Ke bad 5 Besat me 20 Jamadi us Sani Makka e Moazzema me paida huin.

JANABE FATEMA KA BACHPAN WA TARBIYAT :-

Janabe Sayyeda (s.a) me bachpan ke wo Asaar hi na the jo Aam ladkiyo me hua karte hain. Umme Salma (s.a) se kaha gaya ki Fatema (s.a) ko usool e Tehzeeb sikhaye. Unhone jawab diya mai Mujassemae Ismat wa taharat ko Akhlaq wa Aadaat ki kya taleem de sakti hu mai to khud is kamsin bachchi se Taleem e Usool hasil kiya karti hu. Tareekh me hai ki Hazrat  Khadeeja (s.a) kisi ki shadi me jane ke liye tayyar  huin aur kapde pahnne lagin to pata chala ki Janabe Sayyeda (s.a) ke liye kapda nahi hai, Janabe Sayyeda ne Arz kiya Madare girami mai purane hi kapde me chalungi kyu ki Baba Jan farmaya karte hain ki Musalman ladkiyo ka behtareen Zeware Hayat Taqwa hai  aur Behtareen Araish Sharmo haya hai.
             Hazrat Risalat Ma'ab ka Irshad hai ki, Jab mai Meraj par gaya tha Jibrail (a.s) ne mujhe ek Seb (Apple) diya tha maine use khaya tha aur usi se Fatema (s.a) ka Nuqta e Wajood Qayam hua tha.


HAZRAT FATEMA ZEHRA (s.a) KI SHADI :-

Paighambare Islam ne Ali (a.s) ki wiladat ke waqt Ali (a.s) ko zaban de di thi aur bad me farmaya tha ki meri beti ka Kufo Khana Zaade Khuda ke koi aur nahi ho sakta. Halat ka takaza aur nasli wa khandani sharafat ka muktaza ye tha ki Fatema (s.a) ki khwastgaari ke silsile me Ali (a.s) ke siwa kisi ka tazkira tak na

Surah Furqan Ayat no 54 :

وَهُوَ الَّذِي خَلَقَ مِنَ الْمَاءِ بَشَرًا فَجَعَلَهُ نَسَبًا وَصِهْرًا ۗ وَكَانَ رَبُّكَ قَدِيرًا

(Aur wo wahi zaat hai jisne paida kiya Bashr ko pani (Sperm) se aur fir usko khandan wa Sasural wala banaya)
ki tafseer me Ibn Abbas se riwayar hai ki Allah ne ek Nutfa e Nurani paida kiya jo khazana e Gaib me poshida tha, fir usko Sulbe Adam (a.s) me rakha aur wo Sulb e Adam (a.s) se mutaqil hokar Sulb e Sheesh (a.s) me aya, fir Sulb e Anoosh (a.s) me aya, fir Sulb e Qenan (a.s) me aya aur isi tarah Naslan bad Nasle (Nasl ke bad Nasl) se guzarta raha. Yaha tak ki Allah ne isko Sulb e Abdul Muttalib (a.s) me dakhil kiya fir iske 2 hisse kiye ek hissa ek Hissa sulb e Abdullah (a.s) meaur dusra hissa Sulb e Abu-Talib (a.s) me mutaqil hokar Hazrat Abdullah (a.s) se Mohammad Mustufa (a.s) paida hue aur Abu-Talib (a.s) se Imam Ali (a.s) Mutawallid (born) hue.


AQD E ZEHRA (s.a) ASMANO ME :-

Amali Shaikh Sadooq me Ibn Abbas se riwayat hai ki Janabe Rasool Allah (a.s) ne Irshad farmaya ki Allah ne mere aur Ali ke darmiyan Akhowat (Brotherhood) qarar di. Usne (Allah) ne meri beti ka aqd 7 asmao ke upar padha aur apne Malaika ko is Aqd ka Shahid (Gawah) banaya. Fir inko (Ali a.s) ko mera Wasi aur Janasheen qarar diya. Ali (a.s) mujhse hai aur Mai Ali (a.s) se hu. Iska dost mera dost hai Iska dushman mera dushman hai aur malaika bhi inki mohabbat ke zariye se Allah ki bargah me taqarrab (Closer) hasil karte hain.

RUKHSATI KI SHAN (a.s) :- 

Ibn  Abbas se riwayat hai ki Jab Janabe Zehra (s.a) apne Pedar e Girami (father) ke ghar se Rukhsat hokar Hazrat Ali (a.s) ke ghar chalin to apki sawari ke age age khud Hazrat Rasool e Khuda (a.s) the. Dahini (Right) janib Jibrail hain, Bain (left) janib Malaika aur pichhe pichhe Sattar Hazar (70,000) Farishte the jo Allah ki Tasbih padhte hue chale yaha tak ki Subah tulu ho gai.


RUKHSATI KI SHAN (a.s) :- 

Ibn  Abbas se riwayat hai ki Jab Janabe Zehra (s.a) apne Pedar e Girami (father) ke ghar se Rukhsat hokar Hazrat Ali (a.s) ke ghar chalin to apki sawari ke age age khud Hazrat Rasool e Khuda (a.s) the. Dahini (Right) janib Jibrail hain, Bain (left) janib Malaika aur pichhe pichhe Sattar Hazar (70,000) Farishte the jo Allah ki Tasbih padhte hue chale yaha tak ki Subah tulu ho gai to Tasadduq (sadqa) ho raha tha isme se maine kuch apne dupatte ke anchal me bandh liya hai.Ye keh kar Umme Ayman rone lagi aur kaha, Ya Rasool Allah magar apne Fatema Zehra (s.a) ki Shadi me Tasadduq (sadqa) nahi kiya. Rasool e Khuda ne farmaya, aye Umme Ayman galat kyu kehti ho suno jab Allah ne Fatema (s.a) ki Tazveej Ali (a.s) se ki to Jannat ke darakhto ko hukm diya ki woh Zeorat (Ornament), Yaqoot, Moti wagaira Sakneene (Residents) e Jannat par tasadduq kare.


SIDRATUL MUNTAHA PAR AQD AUR RUKHSATI KI SHAN :-

Jabir Ibn Abdullah Ansari se riwayat hai ki jab Rasool Allah (a.s) ko Fatema Zehra (s.a) ki Tazveej Hazrta Ali (a.s) se kar di to khandane Quraish ke kuch log apke pas aye aur bole.. Apne apni beti ki Tazveej bahot mamuli aur Haqeer maher par kar di. Rasool Allah ne farmaya - maine Fatema (s.a) ki tazveej Ali (a.s) se nahi ki balki jab mai Shabe Meraj Sidratul Muntaha par pahucha to waha Allah ne Fatema (s.a) ka Aqd Ali (a.s) se kar diya, fir Darakhte Sidrah ko hukm diya ki jo kuch teri Sakhonpar hai wo sab is Tazveej ki khushi me Tasadduq (sadqa) kar de. Usne Moti, Jawahrat sab Tasadduq (sadqa) kar diye. Jinko lutne ke liye Hoor aur Gulam daud pade aur unhe sab loot liya wo is sadqe ko pa kar fakhr se kehte ki ye Fatema (s.a) binte Mohammad (a.s) ki Tazveej ka sadqa hai jo hame mil gaya.

RUKHSATI KA EHTEMAM :- 

Hazrat Ali (a.s) ka bayan hau ki Aqd ke ek Mahine bad tak Fatema (s.a) ki rukhsati ke mutalliq maine Rasool Allah se koi bat na ki. Masjid me Apke pichhe Namaz padh kar apne ghar chala ata tha. Lekin Azwaj e Nabi ne mujhse kaha ki tum Janabe Rasool Allah (a.s) se Fatema (s.a) ki rukhsati ke liye darkhwast kyo nahi karte ?    
Maine arz kiya ki behtar to yahi hai ki Aap Hazraat khud hi tazkera kare. Wo Hazrat Ali (a.s) ko lekar Rasool Allah (a.s) ki khidmat me pahoch gain aur Umme Ayman ne arz kiya : Ya Rasool Allah (a.s) agar aj Khadeeja (s.a) zinda hotin to Fatema (s.a) ki shadi se kitna khush hotin. Ab Ali (a.s) rukhsati ki khwaish rakhte hain lehaza apni Beti ko Ali (a.s) ke ghar Rukhsat farma dijiye taaki hame bhi khushi milne ka mauqa mile.  
Rasool Allah (a.s) ne farmaya : Fir Ali (a.s) mujhse kyu nahi kehte. Hazrat Ali (a.s) ne arz kiya : Ya Rasool Allah (a.s) mujhe haya aa rahi thi.
Rasool Allah (a.s) Azwaj ki taraf mutawjja hoe aur Farmaya : Yaha par is waqt kon kon maujood hai ? Hazrat Umme Salma ne arz kiya : ham sab fala fala maujood hain.
Rasool Allah (a.s) ne farmaya : Achchha meri beti aur mere Damad ke liye ek Kamra Arasta ( decorate) karo.
Hazrat Umme Salma ne arz kiya : Kon sa kamra arasta karu? Rasool Allah (a.s) ne farmaya : Tum apna hi kamra arasta kar do. Hazrta Umme Salma farmati hain ki maine Fatema (s.a) se puchha tumhare pas kuchh khushbu hai ?
Unhone farmaya "Ji han". Aur mujhe ek Shishi (bottle) lakar di jisme Itr (scent) tha. Jab maine us se thoda sa apni hatheli par laga kar sungha to mera dimag uski khushbu se moattar ho gaya. Is jaisi khushbu to maine apni umr me kabhi sunghi hi nahi thi. Maine puchha, Ye kon si khushbu hai ? Fatema (s.a) ne kaha, jab wahie kalbi (Jibrail) mere Baba ke pas aya karte the to Baba farmaya karte ki beti apne Chacha ke liye Musnad bichha do. Main unke liye musnad bichha diya karti. Jab wo baithne lagte to unke libas se koi chiz musnad par girti to Baba farmate the ki beti isko utha kar rakh lo. Hazrat Ali (a.s) puchha karte the Ya Rasool Allah (a.s) ye kaisa chiz hai ? Aap farmaya karte, ye jannat ka Anbar (Mushk) hai jo Jibrail ke paro se jhadta hai.

Comments