HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s)

                                                               AL-AJAL YA IMAM (a.t.f.s)



Name                    IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s)
Father Name          IMAM HASAN ASKARI (a.s)
Mother Name         JANAB NARJIS KHATOON (s.a)
D.O.B.                 15 SHABAN 255 H.
P.O.B.                  SAMARRAH

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) :-

Imam e Zamana (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 14th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 12th kadi hain. Apke walide majid Hazrat Imam Hasan Askari (a.s) aur waleda Janabe Narjis Khatoon (s.a) thin.

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KI WILADAT :-

Apki wiladat 15 shaban 225 H. yaume juma Tulue Fazar waqe hui.

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KA NASAB NAMA :-

Apka pedari nasab nama yah hai . MOHAMMAD BIN ALI BIN MOHAMMAD BIN ALI IBNE MOOSA IBNE JAFAR BIN MOHAMMAD BIN ALI BIN HUSAIN BIN ALI WA FATEMA BINTE RASOOL ALLAH (स.) . Yani aap farzande Rasool , dilbande Ali aur Noor e Nazar Batool (s.a) hain.

 HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KI ISME GIRAMI :-

Apka name nami wa isme girami "MOHAMMAD" aur mashhoor laqab "MEHDI" hai.

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KI QUNIYAT :-

Apki quniyat "ABUL QASIM" aur "ABU ABDULLAH" hai.

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KE ALQAB :-

Apke alqab MEHDI , Hujjat Ullah , Khalfe Alsaaleh , Saahebul Asar wa Sahebul Amar , Walzamaan , Al Qaem , Al Baqi aur Al Muntazar hain.
[Hazrat Daniyal Nabi ne Hazrat Imam Mehdi (a.s) ki wiladat se 1420 saal pehle apka laqab MUNTAZIR karar diya hai.] Mulaheza ho kitab (Daniyal baab 12 ayat 121).

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KA HULIYA :-

Apke huliye ke mutabik ulema ne likha hai ki apka rang Gandum , qad Miyana hai. Apki peshani khuli hui hai aur apke aabru ghane aur baham pewasta hain, apki Naaq barik aur buland hai, apki ankhe badi aur apka chehra nihayat nurani hai. Apke dahine rukhsar par ek til hai " Kanahu Qaukab Dar" jo sitare ki manind chamakta hai, aapke dant chamakdar khule hue hain, aapki pusht par isi tarah ki muhre imamat sabt hai, jis tarah pushte Risalatmaab par muhre nabuwat sabt thi.

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KI GAIBAT E SUGRA AUR APKE SUFRA  :-

Apki gaibat ki do haisiyate hain. Ek SUGHRA aur dusri QUBRA. Gaibat e sugra ki muddat 75 ya 73 saal thi. Uske bad gaibat e qubra shuru ho gai. Gaibat e sugra ke zamane me apka ek naeb khas hota tha. Jiske zere ehtemem har qism ka nizam chalta tha. Sawal wa jawab , khums wa zakat aur deegar marahil usi ke waste se tai hote the. Khususi makamate mehrusa me usi ke zariye aur sifaris se sufra mukarrar kiye jate the
.

HAZRAT IMAM MOHAMMAD MEHDI (a.s) KE NAVAB E ARWA :-

1.) Sabse pehle jinhe naebe imam khas hone ki sa'adat nassb hui unka name nami wa isme girami HAZRAT USMAN BIN SAEED AMRI tha. Aap qabilae bani asad se the apki quniyat ABU UMAR thi aap samrrah ke karib masjid me dafan kiye gai. Apki wafat ke bad bahukme IMAM apke farzand Hazrat Mohammad Bin Umar Saeed is mansab par faez hue.
2.) HAZRAT MOHAMMAD BIN UMAR SAEED is azeem manzilat per faez hue. Apki quniyat ABU JAFAR thi. apne apni wafat se do mah qabl apni qabr khudwa di thi. Apka kehna tha ki main yah isliye kar raha hu ki mujhe IMAM ne bata diya hai aur apni tareekh e wafat se waqif hu. apki wafat jamadi ul awwal 305 H. me waqe hui aur maa ke qaeeb bamakam darwaza kufa sire raah dafan hue. CONTI...


Comments