HAZRAT IMAM MOHAMMAD BAQIR (a.s)



Name                     IMAM MOHAMMAD BAQIR (a.s)
Father Name          IMAM ZAIN AL ABEDEEN
Mother Name         UMME ABDUL FATEMA
D.O.B.                   1 RAJAB 57 H.
P.O.B.                    MADEENA
D.O.M.                  7 ZILHAJJ 114 H.
P.O.B                     JANNAT UL BAQI

HAZRAT IMAM MOHAMMAD BAQIR (a.s) :-

HAZRAT IMAM MOHAMMAD BAQIR (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 7th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 5th kadi hain. Apke walide majid HAZRAT IMAM ZAIN AL ABEDEEN (a.s) aur waleda majeda JANABE UMME ABDUL FATEMA (s.a) thin.

APKI WILADAT BA SA'ADAT: -

Hazrat Imam Mohammad  Baqir (a.s) batarikh 1 Rajab 57 Hijri Yaume Juma Mdeena e Munwwara me mutawallid hue.
        Aap jab batne Madar me tashreef lai to Abao Ajdad ki tarah apke ghar me Awaze Gaeb ane lagi Aur jab 9 mah ke hue to Farshton ki beinteha Awaze ane lagi aur Shabe Wiladat ek noor Sate hua. Wiladat ke bad Qibla Roo hokar Asman ki taraf Rukh farmaya ( Adam (a.s) ) ki manind 3 bar Chhinkne ke bad Hamde Khuda baja lai.

ISME GIRAMI, QUNIYAT AUR ALQAB :-

Apka isme girami " Lauhe Mehfooz " ke mutabiq aur Sarware Kainat (a.s) ki tayyun ke muafiq "Mohammad " tha. Apki Quniyat " Abu Jafar " thi aur apke Alqab Kaseer the jinme Baqar, Shakir, Hadi zyada mash'hoor hain.

IMAM MOHAMMAD BAQIR (a.s) KI SHAHADAT :-

Aap Ilmi faez wa barkat ki wajah se Islam ko barabar farogh dete rahe the. Lekin iske bawajood Hashsham Bin Abdul Malik ne apko Zaher ke zariye se Shaheed kar diya aur aap Batareekh 7 Zilhajj 114 Hijri Yaume doshamba Madeena e Munwwara me Inteqal farma gai. Is waqt apki umr 57 Saal ki thi. Aap Jannat ul Baqi me dafn hain.
            Apne Gusl o Kafan ke Mutallik khas taur se hidayat ki kyunki Imam ko Imam Gusl de Sakta hai. Apne apni wsiyaton me ye bhi farmaya ki 800 Dirham meri Azadari me Surf karna aur aesa intezam karna ki 10 Saal tak meri mazloomiyat ka Matam kiya jai. Ulema ka bayan hai Apne apni wasiyaton me ye bhi kaha ki mere bandhe kafan Qabr me khol dena aur meri Qabr 4 Ungal se unchi mat karna.

Comments