HAZRAT IMAM HASAN ASKARI (a.s)



Name                 IMAM HASAN ASKARI (a.s)
Father Name        IMAM ALI NAQI (a.s)
Mother Name       JANAB HADSIYA KHATOON (s.a)
D.O.B.              10 RABI US SANI 232 H.
P.O.B.               MADEENA E MUNAUWWARA
D.O.M.             8 RABI UL AWWAL 260 H.
P.O.B.               SAMARRA

HAZRAT IMAM HASAN ASKARI (a.s) :-

IMAM HASAN ASKARI (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 13th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 11th kadi hain. Apke walide majid Hazrat Imam Ali Naqi (a.s)the aur apki waleda majeda Janabe Hadsiya Khatoon (s.a) thin.

IMAM HASAN ASKARI (a.s) KI WILADAT :-

Aap ba tareekh 10 Rabi us Sani 232 H. Yaume Juma ba waqte subah Janab Hadsiya Khatoon se ba muqam Madeena e Munauwwara me nutawallid hue.

IMAM HASAN ASKARI (a.s) KI NAM NAMI :-

Apki wiladat ke bad Hazrat Imam Ali Naqi (a.s) ne Hazrat Mohammad Mustafa (a.s) ke rakhe hue nam "HASAN BIN ALI" se mausoom kiya hai.

IMAM HASAN ASKARI (a.s)KI QUNIYAT AUR ALQAB:-

Apki quniyat ABU MOHAMMAD thi aur apke alqab beshumar the. Jinme ASKARI , HAADI , ZAKI , KHALIS , SIRAJ aur IBNE RAZA zyada mash'hoor hain ( nurul absar safa 150 , 14 sitarey safa 572).

IMAM HASAN ASKARI (a.s) KI AHDE HAYAT AUR BADSHAHE WAQT :-

Apki wiladat 232 H. Me us waqt hui jabki wasiq billah bin motasim badshahe waqt tha jo 237 H. Me khaleefa bana tha. Fir 233H. Me mutaqwaqqil khaleefa hua. Jo Hawrat Ali aur unki Aulad se sakht bugz rakhta wa keena rakhta tha aur unki mankast kiya karta tha. Isi ne 236 H. Me Imam Husain (a.s) ki ziyarat ko jurm karar diya aur unke mazar ko khatm karne ki koshish ki aur isi ne Imam Ali Naqi (a.s) ko jabran Madeene se 'Sarman Rai' talab kara liya. Aur apko giraftar karake apke makan ki talashi karai , fir 147H. Me muntasar bin mutawaqqil khaleefa e waqt hua. Fir 248H. Motstain khaleefa bana. Fir 252H. Me mumtaz billa khaleefa hua. Isi zamane me Ali Naqi (a.s) ko zaher se shaheed kar diya gaya fir 255H. Me mehdi billa khaleefa hua. Fir 256H. Me IMAM HASAN ASKARI (a.s) zaher se shaheed hue. In tamam khulfa ne apke sath wahi bartao kiya jo Aale Mohammad (A.) ke sath bartao kiye jane ka dastoor chala aa raha tha.


CHAR MAAH KI UMR AUR MANSAB E IMAMAT :-

IMAM HASAN ASKARI (a.s) ki umr jab char maah ki hui to apke walid ALI NAQI (a.s) ne apne liye mansab e imamat ki wasiyat ki aur farmaya ki mere bad yahi mere janasheen honge , aur bahot se logo ko gawah bhi kar diya. ( irshad mufeed safa 502 , damai saqeba jild 3 safa 163)

IMAM HASAN ASKARI KA PATTHAR PAR MOHAR LAGANA :-

Ravi Abu Hashim bayan karta hai ki ek jawan apke darbar me aya to mere dil me khayal aya ki kash mujhe pata hota ki yah kon hai. Dil me is khayal ka ana tha ki ki IMAM ne farmaya ki mohar lagwane ke liye wo sang para (patthar ka tukda) laya hai. Jis par mere baap dada ki mohre lagi hain. chunanche usne pesh kiya aur apne mohar laga di. wah shakhsh Ayat "JURRIYATE BAAZHA MIN BA'AZ" padhta hua chala gaya. ( usoole kafi ka damae saqeba safa 164 , 14 sitarey safa 580.)
ek sawal ke jawab me kaha gaya ki aane wala Majmue Inbul Salat Bin Aqba Sama'an Ibn Gman tha.

HAZRAT IMAM HASAN ASKARI (a.s) AUR EID E NAHUM RABI UL AWWAL :-

HAZRAT IMAM HASAN ASKARI (a.s)chand azeem ashab jinme Ahmad bin Ishaq bin Zareeh bhi the. Ek din Mohammad bin Abi Allah Hamdani aur Yahiya bin Mohammad bin Zareeh Bagdadi ke darmiyan 9 Rabi ul Awwal yaume Eid hone par guftugu ho rahi thi. Bat chit ki takmeel ke liye yah dono Ahmad bin Ishaq ke makan par gai. Dakkul bab kiya. Ek iraqi ladki nikli , ane ka sabab pucha , kaha Ahmad se milna hai. Usne kaha Aamaal kar rahe hai. Unhone kaha kaise aamaal? Ladki ne kaha Ahmad bin Ishaq ne Imam HASAN ASKARI (a.s) se rawayat ki hai ki 9 rabi ul awwal yaume Eid hai aur hamari badi Eid hai , aur hamare dosto ki Eid hai. Algaraz wah Ahmad se mile. Unho ne kaha ki mai abhi gusle Eid se farig hua hu aur aaj Eid e Nahum, 9 rabi ul awwal hai. Fir unhone kaha ki mai aaj rat hi HAZRAT IMAM HASAN ASKARI (a.s) ki khidmat me hazir hua hu. Unke yaha angithi sulag rahi thi, aur tamam ghar ke log achche kapde pehne hue the. Khushbu lagai hue the. Maine arz ki ibne RASOOL (S.) kya aaj koi taza yaume masarrat hai. Farmaya ha aaj 9 rabi ul awwal hai. Ham Ahlebait aur hamare manne walo ke liye yaume Eid hai. Fir Imam (a.s) ne is din ke yaume Eid hone aur RASOOL E KHUDA (S.) aur AMEER AL MOMINEEN (a.s) ke tarze amal ki nishan dehi faramai.

HUJJAT E KHUDA DARINDO KE BICH :-

Badshahe waqt ne IMAM HASAN ASKARI (a.s) ko darindo me dal diya. Sher aur deegar darindo ki nazar jab aap par padi to unhone hujjat e khuda ko pehchan liya aur unhe phad khane ke bajai unke qadmo par sar rakh diya , IMAM ne unke darmiyan musalla bichha kar namaz padhna shuru kar diya , dushmano ne ek baland maqam se yah hal dekha aur shakht sharminda hokar IMAM ki fazeelat ka aiteraf kiya. (alam al wara safa 218 , kashful gamma safa 127 , 14 sitarey safa 592.).

IMAM HASAN ASKARI (a.s) KI SHAHADAT :-

Imam Hasan Askari (a.s) qaido band ki zindagi guzarne ke dauran me ek din apne Khadim Abul Adyan se Irshad farmate hain, ki tum jab apne Safare Madaen se 15 din ke bad wapis aoge to mere ghar se Shewano Buqa ki awaze ati hongi. 
      Algaraz Imam Hasan Askari (a.s) ba'tareekh 1 Rabi Ul Awwal 260 Hijri me Motamid Abbasi ne Zaher dilwaya aur aap 8 Rabi Ul Awwal 260 Hijri ko Jume ke din Ba'waqte Namaze Subh Khilqate Hayate Zaheri utar kar ba'tarfe Mulke jawedani Rehlat farma gai. "INNA LILLAHE WA INNA ELAYHE RAJE'OON" Ulema ka bayan hai ki wafat ke Qabl apne Imam Mehdi (a.s) ko tabarrukat supurd farma diye the. ( Shahadat ke waqt apka Sin e Mubarak 28 Baras tha ).

IMAM HASAN ASKARI (a.s) KI SHAHADAT KE BAD :-
Waqya e Kahet, Darindo ki Sajda Rezi aur apki mazlumiyat ki wajah se har ek ke Dil pe apki Waq'at, apki Mohabbat Ja Guzi ho chuki thi. Yahi wajah hai ki apki Rehlat ki khabar ka Shohrat pana tha ki har ghar se rone ki awaze ane lagin. Har Dil me izterab ki lehre daudne lagin. Shoro Shewan se...CONT...

Comments