IMAM ALI NAQI (a.s) KA ILM E LADUNNI

IMAM ALI NAQI (a.s) KA ILM E LADUNNI :-

BACHPAN KA EK WAQYA : Yah hamare musallemat me se ki hamare Aeimma ko Ilm e Ladunni hota hai. Yah Khuda ki bargah se ilm wa hikmat lekar kamil aur mukammil duniya me tashreef late rahe hain. Unhe kisi se ilm hasil karne ki zarorat nahi hoti.
               Allama Masoodi ka bayan hai ki Hazrat Imam Mohammad Taqi ki wafat ke bad Imam Ali Naqi jinki umr 6-7 sal ki thi madeena me marajae khalaeq ban gai the, yah dekh kar wah log jo Aal e Mohammad se dili dushmani rakhte the wah sochne par majboor ho gai ki kisi tarah inki markaziyat ko khatm kar diya jai aur aesa koi moallim inke sath laga diya jai jo inhe taleem bhi de aur inko apne usool par tarbiyat ke sath unke pas logo ke pahuchne ka sadde baab kare yah log isi khayal me the ki umar bin farz rahji faragate Hajj ke bad Madeena pahucha. Logo ne usse arz kiya. Bil akhir hukumat ke dabao se aesa intezam ho gaya ki Hazrat Imam Ali Naqi ko taleem dene ke liye iraq ka sabse bad aalim , "aabid abidullah juneedi " maqool mushahera par lagaya gaya yah juneedi Aal e Mohammad ki dushmani me khas shohrat rakhta tha. Algaraz juneedi ke pas hukumat ne Imam Ali Naqi ko rakh diya aur juneedi ko khas taur par is amr ki hidayat di ki unke pas khafiz na pahoch pai. Juneedi ne apko qarsa sarba me apne pas rakha.
         Hota yah tha ki jab Raat hoti thi to Darwaza Band kar diya jata tha aur din me bhi Shiyo se Milne ki ijazat Nahi thi. Isi tarah apke manne walo ki Amad ka Silsila Muntqa ho gaya aur apka Faize Jaari band ho gaya. Log apki Ziyarat aur apse Istefade se mehroom ho gai. Raavi ka bayan hai ki ek roz maine juneedi se kaha Gulam Hashmi ka Kya haal hai. Usne nihayat buri Surat bana kar kaha. Unhe Gulam Hashmi na kaho, wah Raees e Hashmi hain Khuda ki kasam wah is kamsini me bhi mujhse kahin zyada Ilm rakhte hain. 'Suno' mai apni puri koshish ke bad jab adab ka koi baab unke samne pesh karta hu to wah uske Muta'allik aese Abwab khol dete hain ki Mai hairan reh jata hu. Log samjh rahe hain ki mai unhe taleem De raha hu. Lekin Khuda ki kasam mai unse taleem hasil kar raha hu. Mere bas me ye nahi ki Mai unhe padha sakun. Khuda ki kasam wah Hafiz e Quran hi nahi wah uski Taweel aur Tanzeel bhi jante hain.

Comments

Popular Posts